Patni ka ghamand hota hai uska pati...aur tum us ghamand ko kayam rakhane ke liye pati ki khushi mein apni khushi talash karna ... issi mein ek sukhi pariwar ki zamanat chupi hui hai.
Woh pyar hi kya joh faulaadi dil mein band ghut-ghutkar mar jaye ... pyar ko izhaar chahiye
Agar bhoolne se rishtey naate toot sakte hai ... toh is duniya mein na pyar hota, na nafrat hoti aur na dard hota
Pati ke ghar ka dukh bhi maikay ke sukh se meetha hota hai
Main jis raaste se tumhari taraf aane ki koshish karta hoon ... tum us raaste ko mitta dena chahti ho ... tumhara yeh bartav sari duniya se kaatkar tumhe alag kar dega, bilkul alag ... na koi tumhari taraf aayega, aur na hi kal tum meri taraf aaneka raasta pehchaan sakogi
Azaadi utni hi achchi hai, jitni ki patang udhane ke liye hawa ... zyada hawa se patang ki dor toot jaati hai aur woh hichkole khate hue kahin ghum ho jaati hai
Pehle jab tum baat karti thi tumhari zubaan se shahad tapkata tha ... aur aaj tumhari zubaan ka shahad tumhari behen ki makkhiyon ne choos liya hai
Patthar ka daag mitt jaata hai ... lekin dil par laga hua daag nahi mitta
Begam tum hi toh mere Tansen ka tambura ho na ... joh har waqt mere dil mein bajta rehta hai
Kisi ke sar par tel ki handi phoote ... magar kisi ki kismat na phoote
Ab toh mere liye waqt tehar gaya hai re, zindagi tehar gayi hai ... ab toh sirf saans ke tehar jaane ka intezar hai
Pati par shak karna bhagwan par shak karne ke samaan hai
Jab sar par burre din mandraate hai ... toh zabaan lambi ho jaati hai
Humko mitta sake yeh zamane mein dum nahin ... humse zamana khud hain ... zamane se hum nahin
Khudi ko kar buland itna ke har taqdeer se pehle ... khuda bande se khud pooche, bata teri raza kya hai?
Agar ab bhi tum na badal sake ... toh tumhare liye mujhe badalna padega
Paise ka lalach insaan ki akal mein daraare daal deta hai ... aur woh tumhari tarah, apni kismat khud jala bethta hai
Waqt ki pabandi aadhi kamyabi hai ... aur baki lagan, shauk aur iraade se milti hai
Hukum leta nahin, professor hukum deta hai
Insaaf toh ek chamakta hua suraj hai ... joh aankh dekhle toh savera ... joh na dekhe toh andhera
Hamesha akal ki jeet nahi hoti ... kabhi kabhi akal taqat ke shikanje mein aa jati hai
Meri nazar mein paida hona toh ittefaq hai ... lekin jeena ittefaq nah
Iraada paida karo, iraada ... iraade se asmaan ka chaand bhi insaan ke kadmo mein sajda karta hai
Baadalo aur insaan ki saanso ka kya bharosa ... baadal kabhi bhi baras sakte hai ... saans kabhi bhi toot sakti hai
Log kehte hai teen din baad mehmaan shaitan dikhai deta hai
Yeh zindagi bhi ek ajeeb khel hai ... is khel mein bewakoof, kayar aur apahij tamasha dekhte hai ... aur akalmand, hauslamand and bahadur kood padte hai
Mohabbat karne waalon ka dukh sirf mohabbat karne waale hi samajh sakte hai
Agar bhagwan bhi insaan se uski zindagi maange, toh insaan kabhi nahi dega ... is liye bhagwan bhi cheen kar hi le
Mohabbat aur chahat heere aur sone ki mohtaj nahi hote ... do dilon ka milan hi sabse badi daulat hoti hai
Mausam bhoole nahi jaate ... yaad taaza karne baar baar aate rehte hai ... kabhi zakhmo ko bharne toh kabhi zakhmo ko gehra karne
Achchai aur burai matlabi hoti hai ... matlab nikal gaya, toh aadmi achcha lagta hai ... aur agar matlab na nikla, toh wohi aadmi bura
Kachche faisle karne waale darr ke gharondo mein chup jaate hai
Rishta koi paisa nahi hota ... joh haath se nikal jaye toh sambandh toot jaye
Imaarat pehle bahar se nahi, andar se hi tootti hai ... insaan aksar doosron se nahi, apne aap se, apne vicharon se aur apne rawaiye se hi dokha kha jata hai
Insaan paap ka prayashchit kar sakta hai ... magar ilzaam ka daag mitta nahi sakta
Chor ki kasam aur jhoote ke waade ka koi aitbaar nahi hota
Aadat badli ja sakti hai ... fitrat nahi
Nadaani ka doosra naam nakaami hai
Aadat badli ja sakti hai ... fitrat nahi
Kaam awaara aur uchakkon ko nahi milta ... magar jinhe kaam ki shradha hoti hai ... unhe kaam mil jaata hai
Duniya adhoori nahi hoti ... muqammil hoti hai ... adhoora aadmi hota hai
Koi itna door bhi nahi jaana chahiye ... ki wapasi ka raasta bhool jao
Rishtey sharton se bante ya bighadte nahi hai ... rishta ek ehsaas hota hai jisse khuraj kar phenka nahi ja sakta
Apno mein apni pehchaan zaroori hoti hai ... apni talaash ke liye
Dil khaali reh jaye toh saari roshniyan bujh jaati hai
Gareeb ka dil agar sone ka hota hai ... toh haath faulaad ke hote hai
Mazdoor ko mazdoori paseena sookhne se pehle mile ... aur mazloom ko insaaf dard mitne se pehle
Haqeeqat chup nahi sakti banavat ke usoolon se ... ki khushboo aa nahi sakti kabhi kagaz ke phoolon se
Inteqam bhi ek tarah ka insaaf hi hota hai ... joh saboot ka mohtaj nahi hota
Kanoon par kabza hamesha amir ka hi raha hai ... woh hamesha amir ke haath ki laathi bana hai ... toh gareeb ke haath ki hathkadi
Sooraj dhalne se pehle tumhare kadamon ke nishaan is gaon ki mitti se mitt jaane chahiye ... varna tum mitta diye jaoge
Akalmand ki pehchan gusse ke waqt hoti hai ... aur bahadur ki maidan-e-jung mein
Khetti kisaan ki hogi joh us par kaam karta hai ... zameendar ki nahi joh us par aaram karta hai
Gareeb ka muqaddar us par reham karne se nahi ... balki us mein zimmedari pehda karne se badla jaata hai
Toofan mein hum apni khushi chahte hai ... jaan hatheli pe liye jee jaate hai ... tum woh joh samundar jinhe kha jaata hai ... hum woh joh samundar ko pee jaate hai
Sher ki khaal pehenkar aaj tak koi aadmi sher nahin ban saka
Aurat toh narm matti ki bani hoti hai ... kabhi bhi toot sakti hai
Chalaaki karne waala khud hi apni chalaaki ka shikaar ho jata hai
Dil ki awaaz dil se suni jaati hai
Kauva oonchai par bahetne se kabootar nahi ban jata
Rishwat khao aur rishwat khilao
Bahut log is rupaiye ke peeche bhaagte hai ... lekin chand aaise hote hai jinke peeche rupaiya bhaagta hai
Humne dekhe hai bahut baatein banane waale ... baatein waale toh janaab kaam kidhar karte hai ... woh joh dekhe hi nahi toofan uthate sagar ... woh kya khaak samundar mein safar karte hai
Insaaf ke jin saudargaro ke bhram par, tum farz ka sauda kar rahe ho ... unki gardane bhi hamare haatho se door nahi
Humne dekhe hai bahut dushmani karne waale ... waqt ki har saans se darne waale ... jiska haami hai khuda, kaun usse maar sake ... hum nahi bomb aur barood se marne waale
Koi kabil ho toh hum shaan-e-watan dete hai ... dhoondne waalon ko duniya bhi nayi dete hai
Rajneeti mein goonge aur behre bankar raho ... toh raj karoge
Jab vichar ka deep bhuj jaata hai ... toh aachar andha ho jaata hai
Kaise kaise aaise vaise ho gaye, aaise vaise kaise kaise ho gaye ... kal joh the chamche hamare, aaj woh leader ho gaye
Tum jaise kamine chand logon ko chand mahino ke liye toh bewakoof bana sakte hai ... lekin sab logon ko hamesha ke liye nahi
Azaadi ek lamha nahi ... ek silsila hai
Pyar ki aahuti hi pyar ko amar bana deti hai
Bahut khoobsurat hai aankhen tumhari ... bana dijiye inko kismat hamari ... usse aur kya chahiye zindagi mein ... jisse mil gayi hai mohabbat tumhari
Hamere baad mehfil mein afsane bayan honge ... baharen humko dhoondengi, na jaane hum kahan honge
Meri nigaah ne yeh kaisa khawab dekha hai ... zameen pe chalta hua mehtab dekha hai
Yeh businessman bade matlabi hote hai ... inka hasna ya rona business hota hai, inka bolna ya khamosh rehna business hota hai, inka yaad rakhna business hota hai, bhool jana business hota hai
Hum businessman kisi ko maarte hai toh business ke liye ... aur kisi ko zinda rakhte hai toh business ke liye
Kya haath paya hai, saare ke saare devi devtaon ka saath hai ... rahu ketu ka ghulam hai, wahan shani ka kya kaam hai